A true unsaid love story

सोमवार, 15 अप्रैल 2019

aakhir kyun...

dosto jab mai 10th class me tha tab maine apne dosto ke sath ek school me admission liya .us samay class me hum sab naye the to ek dusre se bat nhi karte the lekin jald hi hum sab dost ban gye aur khub sari mastiya karne lage.jaise lunch me ladkiyo ka lunchbox gayab kar dena.school ki deewar kud kar lunch me hi bhag jana .bahut maza aata tha in sab chizo me.aise hi haste khelte din bitne lage . hamari class me bahut sari ladkiya thi but unme ek pyari si ladki bhi thi jo kisi se bhi bat nhi karti thi .apne kam se kam rakhti thi bus. khubsurat bhi thi but kabhi ghamandi si nhi lagi .shayad wo introvert thi ya use in sab chizo me intrest nhi tha . pta nhi kyu uska class me hone se hi mujhe achha  feel hota tha.wo jaisy bhi thi ek khubsurat lamha thi bus...


agle din jab mai school me aaya to dosto ko himmat to bahut dikhaya ki aaj hi usse dosti kar lunga but andar se apni halat me hi janta tha.prayer ke bad mai class me aake baitha wo bhi baithi thi abhi tak teacher class me nhi the aur baki log bhi class ke bahar hi the . class me mai aur wo hi the mai pichhe wali bench par baitha tha aur wo agli seat par wo baithi.mujhhe laga isse achha mauka nhi milega. par mujhe kafi dar bhi  lag  rha tha par maine himmat karke annu ko hii bol diya.usne mujhe hello kaha  fir maine annu se puchha ki aap ne math ka kam kar liya usne han mai jawab diya. bat khatm  karne ke lie maine usse math ki copy mangi. usne pehle to mana kar diya fir maine kaha aapki copy na mili to kal sir mujhe khub kutenge. aap chahti ho ki mai kuta jaun . wo thoda muskurai aur copy  de diya.

agle din school suru hote hi maine wo math ki copy wapis kar di . suruwat  bus itni si  bat se ho payi.aur fir 6 7 din tak mai usse bat karta rha aur wo jawab deti rhi . aisa karte karte maine uske bare bahut kuchh jan lliya.ek taraf tha dost ka kiya hua challenge aur dusri taraf dar. kuchh dino bad school me funtion tha  maine soch liya ki mai ab annu ko propose karunga. annu agele do dino tak school nhi aayi  mai dar gya dosto ki kahi wo function wale din na aayi to. dosto sach kahu to mujhe annu se pyar  ho gya tha. mujhe yakin tha ki wo function wale din jarur aayegi . maine uska bahut wait kiya ant me wo aa gai aur maine bina soche samjhe himmat karke use perpose kar diya
.aur jab aankhe kholi to wo mere samne nhi thi wo jakar bench par baith gai thi . mai uske pas gya aur jwab manga usne kahan soch ke bataungi do tin ghante bat function khatm ho gya . function ke bad uski frined mere pas aayi aur boli annu tumhe bula rhi hai . mai dar gya par mai jaise hi uske pas pahunch usne i love bol diya . us samay kya feelings thi meri kya bataun aapko yaro bus keh nhi sakta shabdo me . asia karte karte hum ek sath aa gye aur ek sath 12 ki padhai ki .



college me dono ne eksath clg me admision liya.ab wo gaon se bus me aur mai train me aata tha. ek sath ane jane me bahut maza aata tha uske sath.mai har roj usko bus stand tak chhodne jata aur fir apne ghar jata tha. ek din mai clg nhi gya.mujhe ghar par kuchh kam aa gya tha lekin mujhe nhi pata tha ki aisa hoga . hamari  zindagi barbad ho gai. 1o minute pehle hamari bat hui unhone kaha clg ki chhutti ho gai mai ghar pahunch kar bat karungi.uske bad sham ho gai meri annu ka phone nhi aaya.  rat ho gai but unka phone nhi aaya subah ho gai fir bhi unka nhi aaya mai clg pahuncha to ek dost ne  bataya ki kal road cross karte samay annu ka  aacident ho gya tha .mujhe yakin nhi hua . but sachh yahi tha ki khuda ne annu ko mujhese dur kar diya tha.
mai aaj bhi unka phone par intzar kar rha hun please please koi untak msg pahuncha do ki unka ye diwana aaj bhi unke msg ka intzar kar rha hai.....kyu ye mere sath hi hua ...aakhir kyun

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें